Showing posts with label Shiraz Uppal. Show all posts
Showing posts with label Shiraz Uppal. Show all posts
Friday 30 May 2014

Alaahda Lyrics From Lekar Hum Deewana Dil (2014)

Alaahda

Alaahda Lyrics From Lekar Hum Deewana Dil

Shiraz Uppal ,
Released: 2014 More Lyrics Of This Album
Artists: Shiraz Uppal ,
Lyricist: Amitabh Bhattacharya,
Genre: Hindi Lyrics

Alaahda Lyrics


Alaahda Alaahda
Huey toh hain Alaahda
Poori tarha magar nahin
Huey hain kyun Alaahda
Alaahda Alaahda
Hain naam se Alaahda
Judi huyi hai rooh toh
Hain naam ke Alaahda
Tere bagair.. jeena lagta hai khaali
Dil hai magar.. seena lagta hai khaali

Meri gali alaahda
Tera shehar alaahda
Yaadon ka hai pata wohi
Jahaan huey alaahda

Din raat adhoorapan cheere
Zang lagi khuroor ki dhaar se
Takiye ka neend se toh jhagda hua sa hai
Kaante ghadiyon ke dheere
Chale hain kyon?..
chale hain kyon waqt se?

Tere bagair.. jeena lagta hai khaali
Dil hai magar.. seena lagta hai khaali

Alaahda Video

Read more...
Wednesday 26 February 2014

Data Di Deewani Lyrics From Youngistaan

Data Di Deewani

Data Di Deewani Lyrics From Youngistaan

Shiraz Uppal, Rafaqat Ali Khan,
Released: 2014 More Lyrics Of This Album
Genre: Hindi Lyrics

Data Di Deewani Lyrics


Aa... aa...

Ganj bakhsh Faiz-e-Alam
Mazhar-e-noor-e-Khuda
Na kasara peer-e-qaabe
Na kasara peer-e-qaabe
Kamila ra ranuma...

Ganj bakhsh, Ganj bakhsh
Ganj bakhsh Faiz-e-Alam
Ganj bakhsh, Ganj bakhsh
Ganj bakhsh Faiz-e-Alam

Diwani.. (Ganj bakhsh)
Teri diwani
(Ganj bakhsh, Faiz-E-Alam)

Daata di deewani main
Daata di deewani main
Tusaral mill gaavo
Tusaral mill gaavo
Daata di diwani main
Daata di...

Main toh deewaani hui
Main toh deewaani hui
Daata... aa...

Woh naksh jo gehna tha
Woh khaak mein hai gum kyun
Ik saans ke aane se
Ik saans gayi tham kyun
Nagri mein teri daata
Ye ranj ka aalam kyun
Nagri mein teri daata
Ye ranj ka aalam kyun
Ye ranj ka aalam kyun
Dharti ke badan par hai
Shatranj ka aalam kyun ?

Data di dewani main
Data di dewani main
Tusaral mil gaavo, daata di..
Ganj bakhsh, Ganj bakhsh
Ganj bakhsh Faiz e Alam
Ganj bakhsh, Ganj bakhsh
Ganj bakhsh Faiz e Alam

Ghaus, qutub, sab de thon sadqe
Ghaus, qutub, sab de thon sadqe
De thon sadqe
Raahon ko badal daalein
Aahon mein asar toh hai
Banti hai bigadti hai
Taqdeer magar toh hai
Saagar mein kahin apni
Koi ek leher toh hai
Saagar mein kahin apni
Koi ek leher toh hai
Koi ek leher toh hai
Wo shab jo nahin kat'ti
Uski bhi sehar toh hai
Daata di deewani main
Daata di deewani main
Tusaral mill gaavo
Tusaral mill gaavo

Tere dar aaya, dilbar aaya
Sun le meri daata piya (x7)

Data Di Deewani Video

Read more...

Mere Khuda Lyrics From Youngistaan

Mere Khuda

Mere Khuda Lyrics From Youngistaan

Shiraz Uppal,
Released: 2014 More Lyrics Of This Album
Artists: Shiraz Uppal,
Lyricist: Shakeel Sohail,
Genre: Hindi Lyrics

Mere Khuda Lyrics


Jism is tarah, dard se bhara
Rooh ki koi bachi nahin jagah
Pyaar dhaal tha, magar nidhaal sa
Mujhe hi loot'ti, rahi meri panaah

Dheere dheere jal rahaa
Jal ke pighal rahaa
Behta chala hai dil mera..
Main hoon kya?
Mere Khuda...

Kaatun main kyun ye sazaa
Piya... kaahe pehle milaaye
Jab aakhir hi judaai hai
Dil se kyun khele bataa..

Dekh pyaasi hai jaan
Hai udaasi yahaan
Khaali khaali jahaan
Bemaza har samaa
Lab sookhe-sookhe
Naina bheege-bheege
Rootha-rootha sa mann
Jis tann laage aisi beqaraari
Jaane bas wohi tann
Uljha hoon kab se main, suljha..
Main hoon kya?
Mere Khuda...

Kaatun main kyun ye saza..
Piya... kaahe pehle milaaye
Jab aakhir hi judaai hai
Dil se kyun khele bataa..

Haar maane nahin, bewajah sa yaqeen
Yaar to hai kahin, benaseebi yahin
Kaise main bhulaaun ya main bhool jaaun
Beeta hua mera kal
Kahaan chala jaaun, jaake dhoond laaun
Pyaare apne woh pal
Tune kabhi kya ye socha
Main hoon kya?
Mere Khuda...

Kaatun main kyun yeh saza...
Piya... kaahe pehle milaaye
Jab aakhir hi judaai hai
Dil se kyun khele bataa..

Mere Khuda Video

Read more...

Labels

 
Muzic Hive © 2011 DheTemplate.com & Main Blogger. Supported by Makeityourring Diamond Engagement Rings

You can add link or short description here